Tazmeen of Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho
Ashkon ka meri aankh mein toofan utha ho
Aur jism tere shaher ki mitti se bana ho
Ye haal mera saara jahaan dekh raha ho
Dil dard se bismil ki tarah lot raha ho
Seene pe tasalli ko tera haath dhara ho.
Mujrim ki tarha aap ke kadmo me pada ho
Hoto pe fakat salle ala salle ala ho
Ho jaye agar aesa to mat puch ye kiya ho
Gar bakte ajal sar teri chokhat pe jhuka ho
Jitni ho kaja ek hi sajde me ada ho
Jo Chand ke tukde kare sooraj ko phira de
Jo galiyan sunkar bhi hidayat ki dua de
Ek doodh ke pyale mein ho sattar ko pila de
Mangta to hai mangta koi shahon mein dikha de
Jisko mere sarkar se tukda na mila ho.
Aamal hi denge lage his waqt gawahi
chehre pe gunaahon ke sabab chai siyahi
Mujrim ki Karen aap agar pusht panahi
Dhoonda hi kare sadre qayamat ke Sipahi
Wo kis ko mile Jo tere Daman mein chupa ho.
Khushboo na ye duniya se kahin jaae ilahi
Duniya e lahad mein main chamak jaaon ilahi
Udti hui saugaat waheen jaae ilahi
Mitti na ho barbaad pas e marg ilahi
Jab khaak ude meri madine ki hawa ho