Humne Aankhon se dekha nahin hai Magar,
Unki Tasweer seene mein maujood hai,
Jisne laa kar Kalaame Ilaahi diya,
Wo Muhammad Madine mein Moujud hai,

Hai Nazar mein Jamaale Habibe Khuda,
Unki Tasweer Seene mein Maujud hai,
Jisne laakar Kalaame Ilaahi diya,
Wo Muhammad Madine mein Moujud hai,

Phool khilte hein pad kar ke Salle Ala,
Jhoom kar keh rahi hai ye baad-e-sabaa,
Aisi Khushbu Chaman ke Ghulon mein kahaa.n,
Jo Nabi ke Pasine mein Moujud hai,

Chhodna Tera Taybah gawaara nahi.n,
Saari Duniya mein Aisa Nazaara nahin,
Aisa Manzar Zamaane ne dekha nahin,
Jaisa Manzar Madine mein Moujud hai,

Hamne maana ke Jannat bahot hai hasee.n,
Chhod kar Ham Madina na jaye.n kahi.n,
Yun to Jannat mein sab hai Madina nahi.n,
Aur Jannat Madine me.n Moujud hai,

Be-sahaaron ko seene se lipta liya,
Jisne Jo Maanaga Usko ata kar diya,
Wo Fakiron ke Afsar Shahe Ambiya,
Wo Shahenshah Madine mein Maujud hai,

Humne Aankhon Se Dekha Nahi Hai Magar Naat Lyrics Download PDF

English Naat Lyrics

Urdu Naat Lyrics

Hindi Naat Lyrics

Hindi Song Lyrics

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *