Zamin O Zaman Tumhare Liye
Makin O Makan Tumhare Liye
Chunin O Chunan Tumhare Liye
Baney Do Jahan Tumhare Liye.

Dahan Mein Zuban Tumhare Liye
Badan Mein Jan Tumhare Liye
Hum Aye Yahan Tumhare Liye
Uthen Bhi Wahan Tumhare Liye.

Kalim O Naji, Masih O Safi,
Khalil O Razi, Rasul O Nabi
Atiq O Wasi, Ghaniyy O Ali
Sana Ki Zuban Tumhare Liye.

Tumhari Chamak, Tumhari Damak
Tumhari Jhalak, Tumhari Mahak
Zamin O Falak, Simak O Samak,
Mein Sikka Nishan Tumhare Liye.

Ye Shams O Qamar Ye Sham O Sahar
Ye Barg O Shajar Ye Bagh O Samar
Ye Tegh O Sipar Ye Taj O Kamar
Ye Hukm Rawan Tumhare Liye.

Ye Fayz Diye Wo Jud Kiye
Ke Nam Liye Zamana Jiye
Jahan Ne Liye Tumhare Diye
Ye Ikramiyan Tumhare Liye.

Sahab E Karam Rawana Kiye,
Ke Ab Niam Zamana Piye
Jo Rakhte The Hum Wo Chak Siye,
Ye Satr E Badan Tumhare Liye.

Ataye Arab, Jalaye Karab
Fuyuz Ajab Baghayr Talab
Ye Rahmat E Rabb Hai Kis Ke Sabab,
Bi Rabb E Jahan Tumhare Liye.

Na Jinn O Bashar Ke Ath Pahar
Malayikah Dar Pe Basta Kamar
Na Jib’ha O Sar, Ke Qalb O Jigar,
Hain Sajdah Kunan Tumhare Liye.

Jinan Mein Chaman Chaman Mein Saman,
Saman Mein Phaban, Phaban Mein Dulhan
Sazaye Mihan Pe Ayse Minan
Ye Amn O Aman Tumhare Liye.

Khalil O Naji Masih O Safi
Sabhi Se Kahi Kahin Bhi Bani
Ye Be Khabari Ke Khalq Phiri
Kahan Se Kahan Tumhare Liye.

Ishare Se Chand Chir Diya ,
Chupey Huwey Khur Ko Pher Liya
Gaye Huwe Din Ko Asr Kiya,
Ye Tab O Tawan Tumhare Liye.

Saba Wo Chale Ke Bagh Phale
Wo Phool Khile Ke Din Hon Bhale
Liwa Ke Tale Sana Mein Khule
Raza Ki Zaban Tumhare Liye

English Naat Lyrics

Urdu Naat Lyrics

Hindi Naat Lyrics

Check out the video for the above Naat

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *