Unka Mangta Hoon Jo Mangta Nahin Hone Dete
Yeh Hawaale Mujhe Ruswa Nahin Hone Dete
Log Mushkil Mein Zamaane Ki Taraf Dekhte Hain
Hum Muhammad Ke Gharaane Ki Taraf Dekhte Hain
Mere Har Aib Ki Karte Hain Woh Parda Poshi
Mere Jurmon Ko Tamaasha Nahin Hone Dete
Apne Mangton Ki Fehrist Mein Rakhte Hain
Mujhe Mujhko Mohtaaj Kisi Ka Nahin Hone Dete
Naat Padhta Hoon To Aati Hai Mehek Taiba Ki
Mere Lehje Ko Woh Maila Nahin Hone Dete
Hai Yeh Imaan Ke Aayenge Lehed Mein Meri
Apne Mangton Ko Woh Tanha Nahin Hone Dete
Mere Halaat Hi Aaqa Mere Dushman Thehre
Mujhko Deedaar-E-Madina Nahin Hone Dete
Hukm Karte Hain To Milte Hain Yeh Maqte “Shakir”
Aap Na Chaahein To Matla Nahin Hone Dete
Unka Mangta Hoon Jo Mangta Nahin Hone Dete
Yeh Hawaale Mujhe Rushwa Nahin Hone Dete
Ghous-E-Aazam Mere Khwaja Mere Aala Hazrat
Yeh Sahaare Mujhe Gumraah Nahin Hone Dete