Har Waqt Tasawwur Mein Madine Ki Gali Ho Naat Lyrics
Har waqt Tasaw’wur mein Madine ki gali ho
Aur yaad Muhammed ki mere dil mein basi ho
Do soz Bilaal AQA mile dard Raza sa
Sarkaar ata ishq Owais-e-Qarni ho
Ai kaash! mai banjaoon Madine ka musafir
Phir roti huwi Taibah ko baraat chali ho
Phir Rehmat-e-Bari se chaloon soo-e-Madina
Ai kaash! muqaddar se mayas’sar woh ghadi ho
Jab aaon Madine me to har chaak girebaan
Aankhaon se barasti huwi ashkaun ki jhadi ho
Ai kaash! Madine mein mujhe maut yoon aajae
Qadmaun mein Tere sar ho meri rooh chali ho
Jab leke chalo gharibaan ko janazah
Kuch khaak Madine ki mere munh pe saji ho
Jis waqt nakirein meri qabr mein aaein
Us waqt mere lab pe saji Naat-e-Nabi ho
ALLAH! karam aisa kare tujh par jahaan mein
Ai Dawate Islami teri dhoom machi ho
AQA ka gada hoon ai jahan’nam tu bhi sunle
Woh kaise jalay jo ke ghulam-e-Madani ho
Sadqa mere murshid ka karoon door balaein
Pura mera Sarkaar har armaan dili ho
Allah ki rehmat se to jannat hi milegi
Ai kaash! mahille me jagah unke mili ho
Mehfooz sada rakhna Shaha be adbaun se
Aur mujhse bhi sarzor kabhi be adbi ho
Attar hamara hai saray hashr ai kaash!
Daste Shaha batha se yehi chit’thi mili ho
The famous Naat Har Waqt Tasawwur Mein by Muhammad Owais Raza Qadri wrote the lyrics to the brand-new Sufi song Har Waqt Tasawwur Mein Naat, which was published in 2021. Muhammad Owais Raza Qadri sings the song har Waqt tasawwur mein complete naat, while Muhammad Ilyas Attar Qadri wrote the lyrics.