Chale aashiqane Mohammad Madina meri bekarari badi jaa rahi hai
Ye hasrat ke jau mai kaise Madina mere kalb e muztar ko tadpa rahi hai
Tamanna liye dil me hazir hua hu bhikari bana tere dar par khada hu
Khudaya mile mujhko sadka Nabi ka zamane ki jholi bhari jaa rahi hai
Meri zindagi ishq e Ahmad me guzre meri jaan bhi unki chaukhat pe nikle
Uthe jab janaza to kahde farishte ye Aashiq ki mayyat chali jaa rahi hai
Sarapa gunahgaar hu mere Maula tufaile Nabi hashr me laaj rakhna
Tujhe muh dikhane ke kaabil nahi hu nidamat se gardan jhuki jaa rahi hai
Na daulat na taakat na kuch zor apna magar hai yakin Unki Rahmat pe itna
Bulaenge Manzar tumhe wo Madina ye Paigame baad e saba laa rahi hai (Sallahu Alehi Wasallam)
Chale Aashiqane Mohammad Madina