Arsh Ki Aql Dang Hai Charkh Pe Asmaan Hai
Jane Muraad Ab Kidhar Haye Tera Makaan Hai
Bazme Sana E Zulf Me Meri Aruse Fikr Ko
Saari Bahaar E Hasht Khuld Chota Sa Itrdaan Hai
Arsh Pe Jaake Murge Aql Thak Ke Gira Gash Aa Gaya
Aur Abhi Manzilo Pare Pehla Hi Aastan Hai
Arsh Pe Taaja Cher Char Farsh Pe Turfa Dhoom Dhaam
Kaan Jidhar Lagaiye Teri Hi Daastaan Hai
Ik Tere Rukh Ki Roushni Chain Hai Do Jahan Ki
Ins Ka Uns Usi Se Hai Jaan Ki Wo Hi Jaan Hai
Wo Jo Na The To Kuch Na Tha Wo Jo Na Ho To Kuch Na Ho
Jaan Hai Wo Jahan Ki Jaan Hai To Jahan Hai
Ghod Me Aalam E Shabab Haal e Shabaab Kuch Na Pooch
Ghulbune Baagh E Noor Ki Aur Hi Kuch Uthan Hai
Tujhsa Siyahkaar Kaun Unsa Shafe’a Hai Kaha
Phir Wo Tujhi Ko Bhool Jaye Dil Ye Tera Ghuman Hai
Peshe Nazar Wo Nou Bahaar Sajde Ko Dil Hai Bekaraar
Rokiye Sar Ko Rokiye Ha Yahi Imtehaan Hai
Shaan E Khuda Na Saath De Unke Kheram Ka Wo Baaz
Sidra Se Ta Zamee Jise Narm Si Ek Udaan Hai
Baare Jalaal Utha Liya Garche Kaleja Shak Hua
Yu To Ye Maahe Sabz Rang Nazro Me Dhaan Pan Hai
Khauf Na Rakh Raza Zara Tu To Hai Abad E Mustafa
Tere Liye Amaan Hai Tere Liye Amaan Hai