Charagar Hai Dil To Ghayal Ishq Ki Talwar Ka ,
Kya Karu Mai Leke Faha Marham E Zangaar Ka…..
Husn Ki Bepardagi Parda Hai Ankhon Ke Liye ,
Khud Tajalli Aap Hi Parda Hai Roo E Yaar Ka…..
Husn To Beparda Hai Parda Hai Apni Aankh Par ,
Dil Ki Ankhon Se Nahi Parda Hai Roo E Yaar Ka…..
Ek Jhalak Ka Dekhna Ankhon Se Go Mumkin Nahi ,
Phir Bhi Aalam Dil Se Talib Hai Tere Deedar Ka…..
Tere Bagh E Husn Ki Raunaq Kya Aalam Kahu ,
Aftab Ek Zard Patta Hai Tere Guljar Ka ,
Kab Chamkta Ye Hilal E Asman Har Maah Yu ,
Jo Na Hota Iss Pe Parto Ab Roo E Sarkar Ka…..
Jaag Uthi Hai Soee Kismat Aur Chamak Utha Naseeb ,
Jab Me Tasawoor Me Samaya Roo E Anwar Aapka…..
Hasarat E Deedar Dil Me Hai Aur Aankhen Beh Chali ,
Tu Hi Waali Hai Khudaya Deeda E Khubaar Ka…..
Bhik Apne Marham E Deedar Ki Do Ata’a,
Chahiye Kuch Muh Bhi Karna Zakhm E Daaman Daar Ka…..
Jab Gira Mai Bekhudi Me Unke Qadamon Par Gira ,
Kaam To Maine Kiya Acche Bhale Hoshiyar Ka…..
Aab-La-Pa Chal Raha Hai Behkudi Me Sar Ke Bal ,
Kaam Deewana Bhi Karta Hai Kabhi Hoshiyar Ka…..
Aablo Ke Sab Katore Aaha Khali Ho Gaye ,
Muh Abhi Tarr Bhi Na Hone Paaya Tha Har Khaar Ka…..
Paon Me Chubhte The Pehle Ab To Dil Me Chubhte Hai ,
Yaad Aata Hai Mujhe Reh Reh Ke Chubhna Khaar Ka…..
Khar E Gul Se Dahar Me Koi Chaman Khali Nahi ,
Ye Madeena Hai Ke Hai Gulshan Gul E Be Khar Ka…..
Marqad E Noorie Pe Roshan Hai Ye Laal E Shab Chirag ,
Ya Chamakta Hai Sitara Aap Ki Paizar Ka…..
Charagar Hai Dil To Ghayal Ishq Ki Talwar Ka ,
Kya Karu Mai Leke Faha Marham E Zangaar Ka…..
Charagar Hai Dil To Ghayal Ishq Ki Talwar Ka