Chand Taare Hi Kya Dekte Reh Gaye
Chand taare hi kya dekte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye
Par ke Rooh ul Amin Soorah e Wadduha
Soorat e Mustafa dekhte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye
Woh imamat ki shab woh Saf e ambiya
Muqtadi muqtada dekhte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye
Woh gaye Arsh tak aur Rooh ul Amin
Sidrah tul Muntaha dekhte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye
Kya khabar kis ko kab Jaam e Kauthar mila
Hum toh unki ada dekhte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye
Nek o Badh par hua unka yaksa karam
Log acha bura dekhte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye
Ho ke gum aye Naseer unke jalwo me hum
Shaan e Rabul Ulaa dekhte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye