Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Be-kasoñ Se Hai Jinhe Pyar Wohi Aaye Hain
Jo Do Aalam Ke Haiñ Ghamkhwar Wohi Aaye Hain
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Ek Nazar Aasmañ Pe Daal Marhaba
Chamka Maah e Noor Ka Hilal Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Jhande Lagao Galiyañ Sajao
Kar Lo Charaghañ Ghar Jag Magao
Razi Hoga Rabbe Zuljalaal Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Mahfil Sajaeiñ Naateiñ Sunayeñ
Roz-o-Shab Yehi Ho Apna Haal Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Laraib Nabiyoñ Ke Salaar Aaye
Aaye Do Aalam Ke Ghamkhwar Aaye
Shahkar Rabbe Zuljalaal Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Aashiq Ke Dil Jagmaga Ne Lage Haiñ
Dekho Zara Muskurane Lage Haiñ
Deedni Haiñ Unke Khad-o-Khal Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Sadqa Wiladat Ka Jalwa Dikha Do
Dil Ki Lagi Ab To Aaqa Bujha Do
Dikhla Do Apna Ab Jamaal Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Judo Sakhawat Hai Aadat Tumhari
Failaye Daman Khade Haiñ Bhikari
Kar Do Karam Aamna Ke Laal Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Jaam e Shahadat Piya Hai Jinhone
Ahle Sunnan Ko Jila Di Unho ne
Yaad Aayeñge Wo Har Saal Marhaba
Shaadi ke Naghme Sunate Raheñge
Jashn e Wiladat Manate Raheñge
War Deñge Tum Pe Apni Jaan Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Padhne Laga Jab Uwaid Unki Naateiñ
Hone Lagiñ Chaar Su Uski Baateiñ
Faiz-e-Raza Ka Hai Ye Kamaal Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba