Chamak ne laga Sunniyat ka sitaara
Bareily mein Ahmad Raza jabse aaye
Huwa sard fitnoun ka har ekk sharara
Bareily mein Ahmad Raza jabse aaye
Udhar kufr ki saari tanzeemien shamill
Idhar Ahle Sunnat akele muqabill
Magar Sunniyoun ne hi maidaan maara
Bareily mein Ahmad Raza jabse aaye
Fataawe mein itni Hadeesen sajaayi
Ke jiss pe karen Faqr Rooh E Buqaari
Bareily bana Sunniyoun ka Buqaara
Bareily mein Ahmad Raza jabse aaye
Go urdu mein pehle bhi thi Naat goyi
Magar qaabile tazkira thi na koyi
Falak chu gaya Shayari ka Minaara
Bareily mein Ahmad Raza jabse aaye
Bahut hi munazzam the najdi wahabi
Thi harsu kharabi kharaabi kharaabi
Huwa ittehaad uska kull paara paara
Bareily mein Ahmad Raza jabse aaye
Pachsou uloom ekk seene mein maqfi
Fasaana nahi ye haqeeqat hai Faizi
Magar ye haqeeqat huwi aashkaara
Bareily mein Ahmad Raza jabse aaye
Chamak Ne Laga Sunniyat Ka Sitaara