Aye Hind ke Raja Khwaja piya ek baar to aisa ho jaaye
Baatin ki nigaahe khul jaayen jalwon ka nazara ho jaaye
Beemaar ki jald aake khabar aye mere Maseeha der na kar
Jeene ki to shohrat ho na saki marne ka na charcha ho jaaye
Hoon apne watan se door pada koi bhi nahi haami apna
Sab door mere gham ho jaaye tera jo ishara ho jaaye
Hai dil ki yahi hasrat Aaqa Ajmer Ajmer bane madfan apna
Qadmon mein tumhare dam nikle poori ye tamanna ho jaaye
Aye chashme tasawwur jaag zara itna to asar paida kar le
Ajmer ho jab peshe nazar Taiba ka nazara ho jaaye
Dukh dard ka maara ye Sayyid tujh se na kahe to kis se kahe
Auron ke sahare to hain bohot tu kaash humara ho jaaye