Ambiyaa ko bhi ajal aani hay,
Magar aisi keh faqat aani hay.
Phir usi aan key baad un ki hayaat,
Misle saabiq wohi jismaani hay.
Rooh toh sab ki hay zinda un kaa,
Jism-e-purnoor bhi roohaani hay.
Auro(n) ki rooh ho kitni hi lateef,
Un key ajsaam ki kab saani hay.
Paau(n) jis khaak pey rakh dein woh bhi,
Rooh hay paak hay nooraani hay.
Uski azwaaj ko jaaiz hay nikaah,
Us ka tarkah bate jo faani hay.
Yeh hain Hayyi abadi un ko RAZA,
Sidq-e-waa’da ki qazaa maani hay.