Table of Contents
Betiya Izzat Bhi Hai,
Betiya Azmat Bhi Hai,
Betiya Ulfat Bhi Hai,
Betiya Raahat Bhi Hai….
Beti To Rehmat Hai
Allah Ki Rehmat Hai,
Allah Ki Rehmat Hai—(2)
Betiya Pyari Hai, Pyari Hai, Mujhe Pyari Hai,
Zindagi Ki Ye Hai Raunak, Yehi Gulzari Hai,
Maine Dekha Ke Sada Mujhpe Ye Jaan Waari Hai,
Zulm Hargiz Na Karo Inpe Ye Bechari Hai,
Inko Tu Bechke Baandhi Na Banaa Aye Zaalim,
Inka Hissa Bhi Virasat Ka Na Kha Aye Zaalim,
Inko Tu Bechke Baandhi Na Bana Aye Zalim,
(Inka Hissa Bhi Virasat Ka Na Kha Aye Zaalim)(2)..
Betiya Izzat Bhi Hai ,
Betiya Azmat Bhi Hai,
Betiya Ulfat Bhi Hai,
Betiya Raahat Bhi Hai…
Beti To Rhmat Hai,
Allah Ki Rehmat Hai…
Betiyo Ki Hai Shariyat Me Fazilat Aayi,
Inke Baare Me Payambar Ki Nasihat Aayi,
Ghar Me Paida Hui Beti To Ye Rehmat Aayi,
Aakhirat Ke Liye Beshak Badi Daulat Aayi,
Dil Ke Andhe Hi Isi Baat Se Inkaari Hai,
Betiyo Ki Wo Muhabbat Se Sada Haari Hai,
Dil Ke Andhe Hi Isi Bata Se Inkaari Hai,
Betiyo Ki Wo Muhabbat Se Sada Haari Hai,
Betiyo Ki Wo Muhabbat Se Sada Haari Hai….
Beti To Rehmat Hai, Allah Ki Rehmat Hai,(2)….
Parwarish Inki Bila Shak Hai Suno Kaare Sawaab,
Ye Amal Khaas Hai Duniya Me Nahi Iska Jawab,
Iske Badle Me Hai Jannat Yahi Taalega Azaab,
Baat Ye Kholke Tu Karle Nahi Isme Hijaab,
Betiya Mere Nabi Ko Bhi Hai Pyari Saari,
Fatema Zainab Kulsum Rukaiya Pyaari,
Betiya Mere Nabi Ko Bhi Hai Pyaari Sari,
Fatema Zainab Kulsum Rukaiya Pyaari,
Fatema Zainab Kulsum Rukaiya Pyaari….
Betiya Izzat Bhi Hai,
Betiya Azmat Bhi Hai,
Betiya Ulfat Bhi Hai,
Betiya Raahat Bhi Hai…
Betiya Rehmat Hai Aallah Ki Rehmat Hai….
Betiya Phool Hai Khushboo Hai Hasi Moti Hai,
Dil Me Ye Beej Muhabbat Ke Sada Boti Hai,
Muskuraht Pe Mere Khoob Ye Khush Hoti Hai,
Dard Uthta Hai Mere Dil Me Ye Jab Roti Hai,
Betiyo Se Aye Umar Mag Si Muhabbt Karna ,
Pyare Aaqa Ka Tareeka Hai Yun Ulfat Karna ,
Betiyo Se Aye Umar Mag Si Muhabbat Karna,
Pyare Aaqa Ka Tareeka Hai Yun Ulfat Karna,
Pyare Aaqa Ka Tareeka Hai Yun Ulft Karna…..
(Beti To Rehmat Hai, Allah Ki Rehmat Hai,)(2)……….