Bakht-e-Khufta ne Muje Roze pe Jaane na diya
Chashmo Dil Sine Kaleje Se Lagane Na Diya
Aah Kismat Muje Duniya Ke Ghamo Ne Roka
Haae Takdeer Ke Tayba Muje Jaane Na Diya
Paao Thak Jaate Agar , Paao Banata Sar Ko
Sar Ke Bal Jaata Magar Zof Ne Jaane Na Diya
Sar To Sar Jaan Se Jaane Ki Muje Hasrat Hai
Maut Ne Haae Muje Jaan Se Jaane Na Diya
Sharbat-e-Deed Ne Aur Aag Laga Di Dil Mai
Tapish-e-Dil Ko Badaya Hai Bujaane Na Diya
Ab Kaha Jaaega Naksha Tera Mere Dil Se
Teh Mai Rakha Hai Ise Dil Ne Gumane Na Diya
Sajda Karta Jo Agar Muje Is Ki Ijaazat Hoti
Kya Karu Izn Muje Iska Khuda Ne Na Diya
Mere Aamal Ka Badla To Jahannam Hi Tha
Mete To Jaata Muje Sarkaar Ne Jaane Na Diya
Mere Aamal-e-Siyaa Ne Kiya Jina Du Bar
Zehar Khata Tere Irshad Ne Khane Na Diya
Nafs-e-Badkaar Ne Dil Par YE Kiyamat Todi
Amal -e-Nek Kiya Bhi To Chhupane Na Diya
Aur Chamakti Si Gazal Pado Ae Noori
Rang Apna Abhi Jamne Shoaraa ne Na Diya
Batkhe Khufata Ne Muje Roze Pe Jane