Daag-E-Furqat-E-Tayba Qalb-E-Muzmahil Jaata
Kaash ! Gumbad-E-Khazra Dekhne Ko Mil Jaata
Mera Dam Nikal Jaata Un Ke Aastaane Par
Un Ke Aastaane Ki Khaak Me.N Mai.N Mil Jaata
Mere Dil Se Dhul Jaata Daag-E-Furqat-E-Tayba
Tayba Me.N Fana Ho Kar, Tayba Me.N Hi Mil Jaata
Maut Le Ke Aa Jaati Zindagi Madine Me.N
Maut Se Gale Mil Kar Zindagi Me.N Mil Jaata
Khuld-Zaar-E-Tayba Ka Is Tarah Safar Hota
Peechhe Peechhe Sar Jaata, Aage Aage Dil Jaata
Dil Pe Jab Kiran Pa.Dti, Un Ke Sabz-Gumbad Ki
Us Ki Sabz Rangat Se Baag Ban Ke Khil Jaata
Furqat-E-Madina Ne Wo Diye Mujhe Sadme
Koh Par Agar Pa.Dte, Koh Bhi To Hil Jaata
Dil Mera Bichha Hota Un Ki Rah-Guzaaro.N Me.N
Un Ke Naqsh-E-Pa Se Yu.N Mil Ke Mustaqil Jaata
Dil Pe Wo Qadam Rakhte, Naqsh-E-Paa Ye Dil Banta
Ya To Khaak-E-Paa Ban Kar, Paa Se Muttasil Jaata
Wo Khiraam Farmaate Mere Deeda-O-Dil Par
Deeda Mai.N Fida Karta, Sadqe Mera Dil Jaata
Chashm-E-Tar Wahaa.N Bahti, Dil Ka Mudd’aa Kahti
Aah Baa-Adab Rahti, Moo.Nh Mera Sil Jaata
Dar Pe Dil Jhuka Hota, Izn Paa Ke Phir Ba.Dhta
Har Gunaah Yaad Aata, Dil Khazil Khazil Jaata
Mere Dil Me.N Bas Jaata Jalwa-Zaar Tayba Ka
Daag-E-Furqat-E-Tayba Phool Ban Ke Khil Jaata
Un Ke Dar Pe Akhtar Ki Hasrate.N Hui.N Poori
Saail-E-Dar-E-Aqdas Kaise Munfa’il Jaata